Khat si thi wo baatein kisike naam k lifape pe band hai.. Wo baatein Bejaan nahi ab bhi kavi, unki awaz sun k kavi unki mohjudgi mehsoos kar ke dhadakte hain.. Par lifapa khulta nahi kavi, woh jinke naam se hai khat woh nahi kholte hain... Sayad kayi chithiya padh li hongi ab mann nahi karta hoga, Sayad ab padhna hi pasand na ho, jo ye lifapa yun hi unke aangan main pada rehta hoga.. Woh jo jiske naam se hai woh hi kahi gum rehte hain.. Bohot rituyen ayi, kavi dhup kavi barish kavi Sardi sab Jan gaye, Unke galiyo se hote hue jane wale bhi pehchan gaye.. ki ye lifapa ud na jaye ab to dar(door step) se unke hawa bhi dhire se gujarti hai.. Woh jo jinke naam se hai wahi gaur nahi karte hain.. Mana rang dhundla ho gya hai par wo bhi to unke karan se hai.. Mana lifapa lagta hoga, magar ye Q samjhte hain jo likha hua hai wo bhi sadharan se hai.. Ab to koi rang hi laga de feeke rang k karan, woh jo jinke naam se hai unko lifapa nazar hi nahi ata hai.. Ab to dimakon ki nazar bhi padne lagi hai ...